Woh thaka hua meri baanhon main zara so gaya tha to kya hua
Abhi main ne dekha hai chand bhi kisi shaakh-e-gul pe jhuka hua
Jissay lay gayi hai abhi hawa woh warq tha dil ki kitaab ka
Kahin aanso'on se mitta hua kahin aanso'on se likha hua
Kai meel rait ko kaat kar koi mouj phool khilaa gayi
Koi phir pyaas se mar raha hai nadi kay paas kharra hua
Mujhay haadson ne saja saja kay bhout haseen bana diya
Mera dil bhi jaisay dulhan ka haath ho mehndiyon se racha hua
Wohi khatt kay jis pe jagah jagah do mehaktay honton kay chaand thay
Kisi bhoolay bisray se taaq par teh-e-gard ho ga dabaa hua
Wohi shaher hai , wohi raasta , wohi ghar aur wohi laan bhi
Magar us dareechay se poochna woh darakht Anaar ka kya hua
Meray saath jugnoo hai hamsafar magar is shaher ki bisaat kya
Yeh chragh koi chragh hai na jala hua na bujha bua
No comments:
Post a Comment