Zameen pe chal na saka aur aasmaan se bhi gaya 
Katwa kay par woh parinda uraan se bhi gaya 
Bhula diya to bhulanay ki intiha kar di 
Ab main us shakhs ky weham-o-gumaan se bhi gaya 
Kisi kay haath se nikla hua teer hoon main 
Jo hadaf ko choo na saka aur kamaan se bhi gaya 
Tabah kar gayi mujhy pakkay makaan ki khwaish 
Main apnay gaaon kay kacchay makaan se bhi gaya 
Paraai aag main kooda to kiya mila tujh ko Wasi 
Ussay bacha na saka aur apni jaan se bhi gaya  
 
No comments:
Post a Comment