Mar 8, 2015

Zara sahil pe aa kar , woh jo thora muskura deta


Zara sahil pe aa kar , woh jo thora muskura deta 
Bhanwar ghabraa kay khud mujh ko , kinaray par laga deta 

Woh na aata magar , itna to keh deta main aayon ga 
Sitaray , chand saara asmaan , raah main bicha deta 

Khabar hoti agar yeh jaal hai , qismat ki sazish ka 
LAkeerain apnay haathon ki , ussi lamhay mitta deta 

Shajar hota to likh likh kar , tumhara naam patton par 
Tumharay shaher ki janib , hawaon main urra deta 

Meray bas main agar hota , hata kar chand taaron ko 
Main neelay aasman pe bas , teri aankhein bana deta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...