Zawiya jitna nigahon ka sanwar jaata hai
Tera rukhsaar bhi utna hi nikhar jaata hai
Aisay lamhaat bhi aatay hain raah-e-ulfat main
Ya wafa haath se jaati hai ya to sar jaata hai
Main teray gham main bhala Ashak bahaa'on kab tak
Aankh to Aankh hai dariya bhi utar jaata hai
Hasti-e-gul hai faqat chand ada'on pe moheet
Phool sharmaata hai , hansta hai bikhar jaata hai
Qurbat-e-yaar se "Mohsin " ko baqaa milti hai
Zarf parwanay ka choota hai keh mar jaata hai
No comments:
Post a Comment