Zindagi dar kay nahin hoti basar janay do
Jo guzarti hai qayamat woh juzar janay do
Dekhtay jana badal jaye ga manzar saara
Yeh dhuwaan sa to zara neechay utar janay do
Phir chalay aaye ho tum meri masihaai ko
Pehlay kuch ristay huye zakham to bhar janay do
Aik khushboo ki tarah zinda raho duniya main
Aur phir kya hai agar khud ko bikhar janay do
Aarzoo apni badal daalo khuda ki khatir
In ki dehleez pe phoro na yeh sar janay do
Dil-e-nadaan tu samjhta hi nahin duniya ko
Kon rakhta hai bhala kis ki khabar janay do
Saad tum Aib nikaalo na hamara aisay
Hum bhi rakhtay hain gilay shikway magar janay do
No comments:
Post a Comment