Zindagi , log jissay marham-e-gham jaantay hain
Zindagi , log jissay marham-e-gham jaantay hain
Jis tarah hum ne guzaari hai woh hum jaantay hain
Dard kuch aur atta kar keh teray dard nawaz
YEh sakhawat teray miyaar se kam jaantay hain
Sar barhna chalay aaye hain keh pathar barsain
Hum teray shaher ka Aa'in-e-karam jaantay hain
Shiddat-e-gham ka yeh aalam hai shab-e-hijar , keh hum
Her sitaaray ko tera deeda-e-nam jaantay hain
Hum keh khiltay thay , kabhi zabt-e-junoon ki rutt main
HArf-e-sheerein ko bhi ab qatra-e-sam jaantay hain
"Rasam-e-Farhad" pe kehna ho ghazal to "Mohsin"
"Sang-o-Taisha"ko bhi hum loh-o-qalam jaantay hain
No comments:
Post a Comment