Din raat chala be'wajah paikar kay peechay
Halaat bigartay gaye kuch pyaar kay peechay
Jaisay hi giri beech ki dewaar to dekha
Khatraat ki yalghaar thi dewaar kay peechay
Ab shikwa yahi dost bhi kar jatay hain meray
Her raat tarapta hai kiyon yaar kay peechay
Yak-tarfa mohabbat ki saza kitni karri hai
Sadmaat hi sadmaat hain inkaar kay peechay
Sar kaat kay nezay pe sajaye ga mera
Thi maat magar kon tha talwaar kay peechay
Dil hijar ki raaton main hua dard ka paikar
Lamhaat-e-wasal chhup gaye Ashaar kay peechay
Guftaar se ho jaati ahi insaan ki pehchaan
Her zaat ka kirdaar hai guftaar kay peechay
Dekha tha mujhay pyaar se phir hosh kahan tha
Jazbaat ka toofan tha iqraar kay peechay
Dukh dard ki aatish ko barhaya hai dukhon ne
Aur baar bigarti rahi do chaar kay peechay
Rota hai tarapta hai sisakta hai "Naseem" ab
Is baat ka hi khouf tha is haar kay peechay
No comments:
Post a Comment