Apr 22, 2015

Eid ka din hai galay aaj to mil le zaalim



Eid ka din hai galay aaj to mil le zaalim 
Rasam-e-duniya bhi hai , moka bhi hai , dastoor bhi hai 

Ishq is tarah kay gustaakh taqazay na karay
Husn mastoor bhi , majboor bhi , maghroor bhi hai 

Ghroor-e-husn kay sadqay , mohabbat youn nahin kartay 
Bhari mehfil main zaahir dil ki wehshat youn nahin kartay 

Yeh mana keh tum haseen ho aur tumhein haq hai shararat ka 
kisi ki jaan pe ban jaye shahrarat youn nahin kartay 

Jissay tum husan kehtay ho woh kaba hai nigahon ka 
Addab laazim hai kabay ki ziyarat youn nahin kartay 

Kuch apnay husn ki khairaat hi de do hamein 
Kisi saahil ko apnay dar se rukhsat youn nahin kartay 

Haya aur sharam ko hum zaiwar-e-husn samjhtay hain 
Yeh zaiwar lut kay reh jaye  sakhawat youn nahin kartay 

Tumhari ik nazar par faisala hai zindgaani ka 
Maseeha ho kay beemaaron se ghaflat youn nahin kartay

Eid ka din hai galay aaj to mil lay zaalim 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...