Apr 22, 2015

Gulaab aankhein sharaab aankhein




Gulaab aankhein sharaab aankhein 
Yehi to hain la'jawab aankhein 

In hi main ulfat in hi main nafrat 
Sawaab aankhein , azaab aankhein 

Kabhi nazar main bala ki shokhi 
Kabhi saraapa-e-hijaab aankhein 

Kabhi chupaati hain raaz dil kay 
KAbhi hain dil ki kitaab aankhein 

Kisi ne dekhi to jheel jaisi 
Kisi ne payein saraab aankhein 

Woh aaye to log mujh se bolay 
Huzoor aankhein , janab aankhein

Ajeeb tha guftagoo ka aalam 
Sawal koi , jawab aankhein 

Yeh mast mast be'misaal aankhein 
Musawari ka kamal aankhein 

Sharaab rab ne haraam kar di 
Magar kiyon rakhi halaal aankhein 

Hazaron in pe qatal hon gay 
Khuda ki bandi sambhaal aankhein

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...