Kabhi ruk gaye kabhi chal diye kabhi chaltay chaltay bhatak gaye
Youn hi umar saari guzaar di youn hi zindagi kay sitam sahay
Kabhi neend main kabhi hosh main tu jahan mila , tujhay dekh kar
Na nazar mili na zubaan hili , youn hi sar jhuka kay guzar gaye
Kabhi zulf par kabhi chasham par kabhi teray haseen wajood par
Jo pasand thay meri kitab main woh shair saray bikhar gaye
Mujhay yaad hai kabhi aik thay magar aaj hum hain juda juda
Woh juda huye to sanwar gaye , hum juda huye to bikhar gaye
Kabhi arsh par kabhi farsh par kabhi un kay dar , kabhi dar'ba'dar
Gham-e-aashiqi tera shukriya hum kahan , kahan se guzar gaye
No comments:
Post a Comment