Apr 1, 2015

Kal raat khawab main ik mehtaab dekha hai


Kal raat khawab main ik mehtaab dekha hai 
Main kya bataon tumhein kaisa khawab dekha hai 

Mujh se hi kiyon hai shikayat jahan walon ko 
Azal se main ne zamana kharab dekha 

Behak na jata to batao aisa kya karta 
Kal us ko pehli baar  be'niqaab dekha hai 

Faqeer hoon main faqeeri hai zindagi meri 
Magar kal raat khawab main khus ko nawaab dekha hi

Hamaray shaher main kaantay hi phool hain 
Tumharay shaher main khilta gulaab dekha hai 

Wisaal-e-yaar ko tarpa hoon is liye 
Hijar ki raaton ka main ne azaab dekha hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...