Apr 2, 2015

Kehta tha ,na mujh ko pardes bhejo maan


Kehta tha ,na mujh ko pardes bhejo maan
Ab meray baghair Eid kaisay manao gi maa

Sab kay betay jab aayein gay jab Eid parh kar 
Tum darwazay main kharri takti reh jaao gi maan

Sawiyaan jab bantny lago gi mohallay main tumhari 
Palkein Aansoo se bheeg jayein gi maan 

Sham tak bhi jab na ponch paaon ga ghar 
Teray dil ki dharkan jaisay ruk si jaye gi maan 

Eid parh kay jab wapis aayon ga duty pe 
Tasalli yeh dil ko  de kar so jaaon ga main bhe 
Eid ka kya hai Aglay saal phir aa jaye gi 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...