Apr 22, 2015

Khizaan chaai hai gulshan main gulon ki eid kya ho gi


Khizaan chaai hai gulshan main gulon ki eid kya ho gi 
Kisi nadaar kay bhookay bachon ki eid kya ho gi 

Kabhi jalta hai aangan main kabhi choolha nahin jalta 
Bataao to bhala un be'bason ki eid kya ho gi 

Woh khush hain jin kay apnay eid par mojood hain lakin 
Juda jin se huye apnay to un ki eid kya ho gi 

Nazar ab aa gaya hai chand phir bhi khush nahin hain woh 
Siwa mehboob kay un Aashiqon ki eid ki eid kya ho gi 

Abhi tak muntazir hain chooriyan mehndi bhi kajal bhi 
Nahin pehni gayi un payalon ki eid kya ho gi 

Chali aayo tumhari deed se to mir ki her eid hoti hai 
Siwa teray bhala hum gham'zadon ki eid kya ho gi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...