Apr 7, 2015

Maghroor meri chashm-e-tamasha hai in dino


Maghroor meri chashm-e-tamasha hai in dino
So baar un ko door se dekha hai in dino

Aaraishon se husn mubbarra hai in dino
Shayed keh aainay se bhi parda hai in dino

Pinhaan hai zulf sar pe duppata hai in dino
Main kya shab-e-firaaq bhi tanha hai in dino

Jis ko ghroor-e-husn ho aa jaye samnay 
Apni nazar pe mujh ko bharosa hai in dino 

Daaman se khushk deeda-e-pur'nam na keejiye 
Muddat ka yeh jaam hai jo chalka hai in dino

Hai janab-e-haram daar-e-kaashaana-e-sanam 
Suraj khilaaf-e-simt nikalta hai in dino

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...