Main shagufta lab-e-izhaar kahan se laaon
Ishq-o-romaan kay azkaar kahan se laaon
Qissa-e-talkhi-e-doran main suna sakta hoon
Dastaan-e-lab-o-rukhsaar kahan se laaon
Apnay ehsaas se main jhoot kahan tak bolon
Shair main shokhi-e-afkaar kahan se laaon
Main ghazal-go hoon , qaseeda to nahin keh sakta
Kya karoon lehja-e-darbaar kahan se laaon
Saut-o-alfaaz ki zarbat pe bharosa hai mujhay
Main tahi dast hoon talwaar kahan se laaon
Main to bik sakta hoon sirf aik tabasam kay iwaz
Lakin ab aisay kharidaar kahan se laaon
Gham zada log to mil saktay hain jitnay bhi chaho Mohsin
Magar aaj kay dour main gham khawaar kahan se laaon
No comments:
Post a Comment