Mujh ko is aas pe jeenay ka saleeqa nahin aata
Koi mera hai to phir mujh main simat kiyon nahin jaata
Dil-e-nadaan ki tasalli ko to hain afsanay bhout
Phir bhi yeh dil chupkay se sambhal kiyon nahin jaata
Hazaron log hain bastay is jahan main par
Janay teray siwa meray dil ka nagar bas kiyon nahin paata
Subho-o-shaam aankhon main basi rehti hai surat teri
Main teray dil main bas jaaon mujh ko yeh hunar kiyon nahin aata
No comments:
Post a Comment