Apr 9, 2015

Rutt jab maazi ki suhaani yaad aati hai


Rutt jab maazi ki suhaani yaad aati hai 
Hamein do premiyon ki kahani yaad aati hai

Majnoo sa ik larka pagal yaad aata hai 
Laila si ik pagli dewani yaad aati hai

Shab bhar tehalta woh raja yaad aata hai 
Lihaaf orrh kay roti woh rani yaad aati hai 

Farhaad sa woh pathar sa jazba yaad aata hai 
Sheereen si woh mom si jawani yaad aati hai 

Sunati thi jo shab ko sulanay ki khatir 
Mujhay woh us burhiya ki kahani yaad aati hai 

Woh dard mousam woh canteen woh iqraar-e-wafa
Mujhay woh shaam december ki suhaani yaad aati hai 

Samjh main nahin aata hanson ya roun
Mujhay jab meray maazi ki na'daani yaad aati hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...