Apr 1, 2015

Suno Ae chand si larki




Suno Ae chand si larki 
Abhi tum titliyan pakro
Ya phir guriyon se khelo tum 
Ya phir masoom si aankhon se

Dheron khawab dekho tum 
Faraz-o-faiz-o-mohsin ki 
Kitabein abhi mat parhna 
Yeh sab lafzon kay shair hain 

Tumhein uljha kay rakh dain gay 
Tumhein maloom hi kab hai 
Mohabbat kay libaas main 
Hawas aur hirs hoti hai 

Yeh insaano ki duniya hai 
Magar in se kahin barh kar 
Yahan wehshi darainday hain 
Woh wehshi jin ki aankhon main 

Machaltay pyaar kay peechay 
Hawas aur hirs hoti hai 
Abhi kacchi kali ho tum 
Abhi kaanton se mat khelo 

Abhi apni hatheli par 
Kisi ka naam mat likhna 
Abhi apni kitabon main 
Gulabi phool mat rakhna 
Suno ae chand si larki

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...