Us ne narn kaliyon ko rond rond paaon se
Taazgi baharon ki cheen li Adaaon se
Paaon main kahayalon kay raastay bichay hain
Aaj hi churaye hain phool us kay gaaon se
Door door rehti hai aik gham zada larki
Hijraton ki raahon se wasal ki sarraaon se
Teray jism ki khushboo shaam ki udaasi hai
Motiye kay phoolon ne cheen li hawaon se
Bhaij apnay lehjay ki narm garm Aatish ko
BArf kab pighalti hai chaand ki shu'aaon se
Pyaar ki kahaani main such agar milay
Umar baandh leti hain larkiyan wafaon se
No comments:
Post a Comment