May 2, 2015

Dost jab thehray chaman kay dushman-e-jaan-e-bahar


Dost jab thehray chaman kay dushman-e-jaan-e-bahar
Zakham dikhlaein kissay phir seena-e-cha'kaan-e-bahar

Nasha-e-ehsaas-e-khush waqti ne andha kar diya
Barq bhi chamki to hum samjhay chraghan-e-bahar

Khoon rulwatay hain sab ko apnay apnay tajarbay
Woh pash-e-maan-e-khizaan hon ya pash-e-maan-e-bahar

Ab kay kuch aisi hi ban aayi keh hum mazoor hain
Warna kab phaira tha hum ne koi farmaan-e-bahar

Ae khosha ehad-e-khizan jab naghma pairaai to thi
Ab to surma dar guloo hain khush'nuwan-e-bahar

Gar youn hi baad-e-saba athkeliyaan karti phiri
Shola-e-gul se bharrak utthay ga daaman-e-bahar

Kab huye dil tang hum zindaan main bhi reh kar Faraz
Haan magar jab aa gayi hai yaad yaaran-e-bahar

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...