May 2, 2015

Gawara bhi sahi jo dukh teray hain


Gawara bhi sahi jo dukh teray hain
Magar hum ko kai gham doosray hain

Ajab ehal-e-chaman kay din phiray hain
Baharon kay bagoolon main ghirray hain

Watan main wazah'daari ne na chora
Paraye shaher hum dar dar phiray hain

Samaye phir na duniya ki nazar main
Na janay kis bulandi se giray hain

Ghaneemat hai jo hans kar baat kar lein
Hamein mat chairiye hum sar phiray hain

Jo duniya kay huye woh sakhat roye
Khush woh log jo ab tak teray hain

Faraz aaj itafaqan mil gaye thay
YEh saahib bhi to deewane teray hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...