Jun 24, 2015

Taghafil kay aaghosh main so rahay hain


Taghafil kay aaghosh main so rahay hain 

Tumharay sitam , aur meri wafaein

Ragon main jitna khoon hai


Ragon main jitna khoon hai 

Sab ishq hai junoon hai

Hum nikalein gay sun Ae moj-e-hawa , bal tera


Hum nikalein gay sun Ae moj-e-hawa , bal tera 

Us ki zulfon kay agar baal parishaan hon gay

Ab koi aaye , chala jaye , main khush rehta hoon


Ab koi aaye , chala jaye , main khush rehta hoon 

Ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko

Teray faraib , teri meharbaniyon se alag


Teray faraib , teri meharbaniyon se alag 

Main aaj kal hoon sabhi khush-gumaniyon se alag

Mera maqaam ishq tha lakin ab farsh hai


Mera maqaam ishq tha lakin ab farsh hai 

Kitni bulandiyon se giraya gaya hoon main

Teray sofay hain afrangi , teray qaleen hain irani


Teray sofay hain afrangi , teray qaleen hain irani 
Lahu mujh ko rulaati hai jawano ki tan'asaani 

Amaraat kya , shikwa-e-khusrawi bhi ho to kya haasil
Na zor-e-haidari tujh main , na istaghna-e-sulemani 

Na dhoond is cheez ko tehzeeb-e-haazir ki tajali main 
Keh paya main ne istaghna main miraaj-e-musalmani

Uqaabi rooh jab baidaar hoti hai jawano main 
Nazar aati hai us ko apni manzil aasmano main 

Na ho no'umeed , no'umeedi zawaal-e-ilm-o-irfan hai 
Umeed-e-mard-e-moman hai Khuda kay raaz'daano main 

Nahin tera nashaiman qasar-e-sultani kay gumbad par 
Tu shaheen hai , basera kar paharon ki chitano main

 

Meri khamoshiyon ka sabab mujhay khud nahin maloom


Meri khamoshiyon ka sabab mujhay khud nahin maloom 

Na'janay kiyon log mujhay maghroor samjhtay hain

Ishq hai aur talb karta hai umron ka khiraaj


Ishq hai aur talb karta hai umron ka khiraaj 

Aik dastak se kahan , dar yeh miyaan khulta hai

Janay kis raah se aa jaye woh janay wala


Janay kis raah se aa jaye woh janay wala 

Hum ne her simt se deewar gira di ghar ki

Na rahon main na mera naam na meri hasti


Na rahon main na mera naam na meri hasti 

Itni shiddat se kahin khud main basa le mujh ko

Baray wasooq se duniya faraib deti hai


Baray wasooq se duniya faraib deti hai 

Baray khaloos se hum Aeitabaar kartay hain

Kabhi fursatein jo naseeb hon chalay aana meray paas tum


Kabhi fursatein jo naseeb hon chalay aana meray paas tum 

Hain adhooray kitnay moa'malay  , meri zaat se teri zaat tak

Main ne lamhon main sadiyon ki aziyat paai hai


Main ne lamhon main sadiyon ki aziyat paai hai 

Apnay ehsaas ko rishton kay hawalay kar kay

Hum aandhiyon kay ban main kisi karwaan kay thay


Hum aandhiyon kay ban main kisi karwaan kay thay 

Janay kahan se aaye hain janay kahan kay thay

Yeh kis maqaam pe soojhi tujhay bicharnay ki


Yeh kis maqaam pe soojhi tujhay bicharnay ki 

Keh ab to jaa kay kahin din sanwarnay walay thay

Ho raha hoon main kis tarah barbaad


Ho raha hoon main kis tarah barbaad 

Dekhnay walay haath maltay hain

Her kisi kay liye kahan hoti hain Eid ki khushiyaan


Her kisi kay liye kahan hoti hain Eid ki khushiyaan 

Musar'rtein laata hai kahan sab kay liye Eid ka chaand

Tu hai moheet be'karaan , Main hoon zara si Aab'jo


Tu hai moheet be'karaan , Main hoon zara si Aab'jo

Ya mujhay hum'kinaar kar , ya mujhay be'kinaar kar

Jafa ki aag tham jaye fakhir tootay kabhi Mohsin


Jafa ki aag tham jaye fakhir tootay kabhi Mohsin 

Chalay aana meray ho kar main maazi bhulaa doon ga

Main Aam sa hamesha


Main Aam sa hamesha

Tu khaas sa musal'sal

Hujraa-e-zaat main makeen hum log


Hujraa-e-zaat main makeen hum log 

Ik zamanay se Itakaaf main hain

Hairaan hain sab dekhnay walay meri halat


Hairaan hain sab dekhnay walay meri halat 

Kis soch ki takmeel main aadha hua hoon main

Chalo yeh zindagi ab hum tumharay naam kartay hain


Chalo yeh zindagi ab hum tumharay naam kartay hain 

Suna hai be'wafa ki be'wafa se khoob banti hai

Khaak baithi hai khaak pe dekho


Khaak baithi hai khaak pe dekho 

Koi Aaali maqaam ho jaisay

Main tujh ko pukaaron to mera phir jhoomna behtar


Main tujh ko pukaaron to mera phir jhoomna behtar 

Tu mujh ko pukaar uthay to mujh pe raqs wajib hai

Ik karb main kattay hain shab-o-roz-e-mareezan


Ik karb main kattay hain shab-o-roz-e-mareezan 

Jaan soz hain yeh ishq meharbaan kay manazir

Ishq karna hai to pehlay bikharnay ka hunar seekho


Ishq karna hai to pehlay bikharnay ka hunar seekho 

Ishq main haadsay aksar baray sangeen hotay hain

Yeh jo theh'raao ba'zahir hai , aziyat hai meri


Yeh jo theh'raao ba'zahir hai , aziyat hai meri 

Jo tlaatum meray andar hai , sukoon hai mera

Aakhir apnay hi mizaaron pe chalay aatay hain


Aakhir apnay hi mizaaron pe chalay aatay hain 

Zindagi se haaray huye deewane log 

Main aisay jam'ghatay main kho gaya hoon


Main aisay jam'ghatay main kho gaya hoon 

Jahan meray siwa koi nahin hai

Kabhi aisa bhi ho keh main gumaan karoon


Kabhi aisa bhi ho keh main gumaan karoon 

Aur tujhay ru-ba-ru paaon

Woh kehta hai main us ki zaroorat ban chuka hoon


Woh kehta hai main us ki zaroorat ban chuka hoon 

To goya woh mujhay hasab-e-zaroorat chahta hai

Main teray hijar ki aziyat se


Main teray hijar ki aziyat se 

Khokhala ho gaya hoon andar se
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...