Teray sofay hain afrangi , teray qaleen hain irani
Lahu mujh ko rulaati hai jawano ki tan'asaani
Amaraat kya , shikwa-e-khusrawi bhi ho to kya haasil
Na zor-e-haidari tujh main , na istaghna-e-sulemani
Na dhoond is cheez ko tehzeeb-e-haazir ki tajali main
Keh paya main ne istaghna main miraaj-e-musalmani
Uqaabi rooh jab baidaar hoti hai jawano main
Nazar aati hai us ko apni manzil aasmano main
Na ho no'umeed , no'umeedi zawaal-e-ilm-o-irfan hai
Umeed-e-mard-e-moman hai Khuda kay raaz'daano main
Nahin tera nashaiman qasar-e-sultani kay gumbad par
Tu shaheen hai , basera kar paharon ki chitano main
No comments:
Post a Comment