Ab kay rutt badli to khushboo ka safar dekhay ga kon
Zakham phoolon ki tarah mehkain gay par dekhye ga kon
Dekhna sab raqs-e-bismal main magan ho jayein gay
Jis taraf se teer aaye ga udhar dekhye ga kon
Zakham jitnay bhi thay sab mansoob qatil se huye
Teray haathon kay nishaan Ae chara gar dekhye ga kon
Woh hawas ho ya wafa ho baat mehroomi ki hai
Log to phal phool dekhein gay shajar dekhye ga kon
Hum chragh-e-subha hi tehray to phir kya sochna
Raat thi kis ka muqaddar aur sehar dekhye ga kon
Aa faseel-e-shaher se dekhein ghaneem-e-shaher ko
Shaher jalta ho to tujh ko baam par dekhye ga kon
Her koi apni hawa main mast phirta hai "Faraz"
Shaher-e-na'parsaan main teri chashme-e-tar dekhye ga kon
No comments:
Post a Comment