Ae ishq tu gard-e-safar bana , Teri aur bhala toqeer kiya hai
Tu khud hi hasrat ka maara , tera khwaab hai kiya tabeer hai kiya
Ae ishq tu bikta rehta hai , kabhi raahon main kabhi baanhon main
Tu bojh hai dil ki duniya ka , meray wastay tu jageer hai kiya
Ae ishq mizaar pe raqs tera , Aur kutbon pe hai aks tera
Tu bujhtay diye ka dhuwan hai bas , Tu kiya janay tanveer hai kiya
Tujhay suna tha main ne qisson main , Is tan par ab to jhaila hai
Mera roop rang to zard hua , mujhay khabar nahin tasveer hai kiya
Tu meem se ain bana tha kiyon , ab chain se bain bana hai kiyon
Main ab tak poochti phirti hoon , meray pairon main zanjeer hai kiya
In ashkon ka to zikar hi kiya , tujhay ishq lahoo se bhi likha
Kabhi parh to sahiin nohon ko , tujhay ilam to ho , tehreer hai kiya
No comments:
Post a Comment