Hum bhi khud dushman-e-jaan thay pehlay
Tum magar dost kahan thay pehlay
Ab wahan khizaan uraati hai khizaan
Phool hi phool thay jahan pehlay
Ab jo dewaar banay baithay hain
Surat-e-moj-e-rawan thay pehlay
Kuch sharaabi keh hain ab raah nasheen
Ronq-e-bazam-e-mughaan thay pehlay
Hum keh hain aaj ghubaar pas-e-ro
Manzil-e-hum'safraan thay pehlay
Ab keh wazeh-e-mohabbat ka khayal
Aur hi log yahan thay pehlay
Ab to khud par bhi nahin zohm-e-wafa
Tujh se hum shikwa kinaan thay pehlay
Ban gaya qaafla chaltay chaltay
Warna tanha hi rawaan thay pehlay
Doulat-e-gham to myussar thi Faraz
Itnay muflis bhi kahan thay pehlay
No comments:
Post a Comment