Jul 29, 2015

Na woh khwaab hain na khayal hain koi zindagi ki sada nahin



Na woh khwaab hain na khayal hain koi zindagi ki sada nahin 
Kya sunaaon main tum ko daastan meray paas kuch bhi raha nahin 

KAbhi raaston se na'ashnaa main chala tha qurbatein dhoondnay 
Mujhay manzilon ne sikha diya kuch faaslon kay siwa nahin 

Kai rang thay jo bikhar gaye kuch log thay jo guzar gaye 
Woh dariya saray utar gaye ab un ruton ki fiza nahin 

Meray lab pe harf-e-gila nahin yeh naseeb-e-jaan kay hain silsalay 
Mujhay jo mila meri be'basi meri zindagi main wafa nahin 

Woh jo teray meray tha darmiyan ik khwaab tha keh saraab tha 
Jo suna woh tum ne kaha nahin jo kaha woh tum ne suna nahin 

Meri zindagi ki kitaab main baray hasraton kay hain tazkaray 
Mera hamsafar jo kahayl tha sar-e-warq us ko likha nahin 

Ab kya kahon keh woh kon tha koi saath tha meray paas tha 
Mujhay yaad hai woh zara zara woh kahan gaya yeh pata nahin

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...