Tum zamana Aashna , tum se zamana Aashna
Aur hum apnay liye bhi ajnabi Na-Aashna
Raastay bhar ki rafaqat bhi bhout hai jaan-e-man 
Warna manzil par ponch kar kon kis ka aashna 
Ab kay aisi aandhiyan uthein keh suraj bujh gaye 
Haye woh shamm'en keh jhonkon se bhi thein Na-Aashna
Muddatein guzrein usi basti main lakin ab talak 
Log na'waqif , fiza be'gaana , hum na'aashna
Hum bharray shehron main bhi tanha hain janay kis tarah 
Log veerano main kar letay hain paida Aashna
Khalq-e-shabnam kay liye daaman kusha sehraaon main 
Kya khabar abar-e-karam hai sirf dariya Aashna
Apni barbaadi pe kitnay khush thay hum lakin Faraz
Dost dushman ka nikal aaya hai apna Aashna 
 
No comments:
Post a Comment