Feb 24, 2016

Hum hain zulmat main keh ubhra nahin khurasheed ab kay


Hum hain zulmat main keh ubhra nahin khurasheed ab kay
Koi karta hi nahin raat ki tar'deed ab kay 

Kon sunta tha hadees-e-gham-e-dil youn to magar 
Hum ne chhairi hai teray naam se tamheed ab kay 

Pee gaye rind keh na'yaab hai sehba warna 
Zehar thi mohtasib-e-shaher ki tanqeed ab kay 

Tishnagi waja-e-junoon hai to chalo youn hi sahi 
Koi sang aaye sar-e-sagar-e-jamshaid ab kay 

Ik zamanay se na roye hain na jaan tarpi hai 
Dil pe laazim hai  teray dard ki tajdeed ab kay 

Qissa-e-ehal-e-wafa janay kahan tak ponchay 
Manzil-e-waar-o-risn tehri hai tamheed ab kay 

Lahu roye hain to gul'naar shafaq phoolay gi 
Aansoo boye hain to hum katein gay khursheed ab kay 

Hum ne yeh soch kay jaan di hai mohabbat main Faraz
buwa'lahoos kartay hain kis rang main taqleed ab kay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...