Hum khaak nasheen , khak basar shaher main teray
Kar lain gay isi tarah guzar shaher main teray
Jab tak teri galiyon se raha hum ko taaluq
Hum raqs rahay shams-o-qamar shaher main teray
Kuch log tamana'on ka khoon chehray pe mal kar
Baithay hain sar-e-raah'guzar shaher main teray
Uth'tay rahay kaliyon ki jawani kay janazay
Jaltay rahay phoolon kay nagar shaher main teray
Palti hai taqadus kay libaday main haqarat
Bajhtay hain hawadas kay gajar shaher main teray
"Saghar" ki nigahon main khat'taktay hain abhi tak
Kaj'laye huye sham-o-sehar shaher main teray
No comments:
Post a Comment