Is adaa se kabhi aa kar guzro
Dil kay sehraa ko basa kar guzro
Sang-e-khaara hai zamanay ki nazar
Dil kay Aainay bacha kar guzro
Roshni rehbar-e-rehzan bhi to hai
Raahiyo ! sham'ein bujha kar guzro
Kon janay keh yeh pathar hain keh log
Dasht-e-ghurbar main sadaa kar guzro
Koi kaanta ho keh shabnam ho keh phool
Sab ko Aankhon se laga kar guzro
Safar-e-shouq ho ya manzil-e-gham
Koi hungama utha kar guzro
Chartay suraj kay pujari na bano
Apnay Saaiye main samaa kar guzro
Waqat ne saath diya hai kis ka
Jee main jo aaye sadaa kar guzro
Pehlay dewano ki rasmein thein yahi
Khoon kaanton ko pilaa kar guzro
Aik pal tehro bagulon ki tarah
Aur phir khaak uraa kar guzro
YA to mojon kay shana'sa na bano
Ya kinaron ko baha kar guzro
Dil ajab shaher hai hungamon ka
Kabhi is simt bhi aa kar guzro
Tu san-e-waqat ki raftaar kay saath
Barq kay pankh laga kar guzro
Fikar-o-adraak kay dar'on main Faraz
Mishal-e-tibah jala kar guzro
No comments:
Post a Comment