Kis qadar aag barasti hai yahan
Khalq shabnam ko tarasti hai yahan
Sirf andesha-e-Afi hi nahin
Phool ki shaakh bhi dusti hai yahan
Rukh kidher mor gaya hai dariya
Ab na woh log na basti hai yahan
Zinda dar'gor huye Ehl-e-nazar
Kis qadar murda parasti hai yahan
Zeest woh jins-e-giraan hai keh Faraz
Mout kay mool bhi sasti hai yahan
No comments:
Post a Comment