Feb 12, 2016

Qariya qariya basti basti jashan manaya kartay thay


Qariya qariya basti basti jashan manaya kartay thay 
Tez hawa main pyar kay sachay deep jalaya kartay thay 

Shaakh shaakh main ab bhi teray payr ka dheema lehja hai 
Jin pairon kay saaye hum ko geet sunaya kartay thay 

Aaj ruton kay saath jo badla hum ko tanha chor gaya 
Kal tak to us pairr kay pattay hum pe saaya kartay thay 

Boorhay bargad ki shaakhon par jhooltay thay hum rozana 
Sapno kay kya sundar mehal banaya kartay thay 

Khoye khoye rehnay walo ! raaz-e-mohabbat faash hua 
Bheegi aankh ne keh daala jo raaz chupaya kartay thay 

Meri tarah woh pairr bhi ab tak tanha rehta hai 
Jis ki thandi chaayon main tum preet jataya kartay thay 

Shahbaz tum to itni jaldi saath hamara chor gaye 
Kal tak pyar ki kaisi kaisi qasmein khaya kartay thay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...