Teray hotay huye mehfil main jalatay hain chragh
Log kya sada hain suraj ko dikhatay hain chragh
Apni mehroomi kay ehsaas se sharminda hain
Khud nahin rakhtay to Auron kay bujhatay hain chragh
Bastiyan door hui jaati hain rafta rafta
Dam-ba-dam aankhon se chuptay chalay jatay hain chragh
Kya khabar un ko keh daman bhi bharrak uth'tay hain
Jo zamanay ki hawaon se bachatay hain chragh
Go siyah bakhat hain hum log par roshan hai zameer
Khud andheray main hain duniya ko dikhatay hain chragh
Bastiyan chand sitaron ki basanay walo
Kurah-e-arz pe bujhtay chalay jatay hain chragh
Aisay be'dard huye hum bhi keh ab gulshan par
Barq girti hai to zindaan main jalatay hain chragh
Aisi tareekiyan aankhon main basi hain keh Faraz
Raat to raat hai hum din ko jalatay hain chragh
No comments:
Post a Comment