Us ko juda huye bhi zamana bhout hua
Ab kya kahein yeh qissa purana bhout hua
Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq
Ae marg-e-na'gahaan ! tera aana bhout hua
Hum khald se nikal to gaye hain par ae khuda !
Itnay se waqiaye ka fasana bhout hua
Ab hum hain aur saray zamanay ki dushmani
Us se zara sa rabt barhana bhout hua
Ab kiyon na zindagi pe mohabbat ko waar dain
Is Aashique main jaan se jana bhout hua
Ab tak to dil ka dil se ta'aruf na ho saka
Mana keh us se milna milaana bhout hua
Lo phir teray labon pe usi bewafa ka zikar
Ahmed Faraz ! tujh se kaha na bhout hua
VERY NICE
ReplyDelete