Feb 9, 2016

Woh Qaol woh sab qaraar tootay


Woh Qaol woh sab qaraar tootay 
Dil jin se maal-e-kaar tootay 

Ho khatam khasha,kash zamana 
Ya daam-e-khayal-e-yaar tootay 

Phir tujh pe yaqeen kar rahay hain 
Woh dil jo hazaar baar tootay 

Khayein gay faraib hum khushi se 
Par, youn keh na Aitabaar tootay 

Woh pichla pehar shab-e-alm ka 
Aansoo bhi sitaara waar tootay 

Kya chortay yaad wusaton ki 
Woh teer jo dil kay paar tootay 

Kaamp uthay Faraz dono Aalam 
Jab saaz-e-wafa kay taar tootay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...