Aab-e-rawan ki simt tawajo to de kabhi
Barq-e-nihaan ki simt tawajo to de kabhi
Le jaye ga zameen ko utha kar falak pe tu
Is Aasmaan ki simt tawajo to de kabhi
Gard-e-safar sitaron ki surat hai zu'fishan
Gum karwan ki simt tawajo to de kabhi
Tujh pe haqeeqaton ka khulay ga talism bhi
Tu dastaan ki simt tawajo to de kabhi
Khud ko talaash kar tu kabhi ijtamah main
Peer-o-jawan ki simt tawajo to de kabhi
Ae "Saad" dil se barh kay koi meharban nahin
Is meharban ki simt tawajo to de kabhi
No comments:
Post a Comment