Mar 25, 2016

Abhi mousam nahin aaya


Abhi mousam nahin aaya 

Main barfon se bharri choti baharon ki 
Meray andar khazana hai 
Meray pehlu main woh dil hai 
Keh jsi main khamoshi orhay huye poora zamana hai 
Meri aankhon se roshan hai 
Keh jo kuch main ne haal apna batana hai 
Wisal-e-mehar honay tak 
Meray aansoo paronay tak 
Hamein khud ko bachana hai , bulandi tak uthana hai 
Phir is kay baad hona hai jo hona hai 
Hamein to barf chandi hai 
Hamein to dhoop sona hai 
Utarna hai samandar bhi meri chaati se aakhir ko 
Abhi pani pe nasha hai 
Keh soya hai woh yakh-basta 
Woh jab chahye ga chupkay se bana lay ga koi raasta 
Uchaltay koodtay pani ki qismat main 
Abhi araam kay din hain 
Yahi kuch kaam kay din hain 
Abhi suraj nikalnay do 
Phir is kay baad baithein gay 
Isi pani se khelein gay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...