Mar 16, 2016

Khouf raah-e-hayat kabhi chatt hi jaye ga


Khouf raah-e-hayat kabhi chatt hi jaye ga 
Mushkil sahi magar yeh safar kat hi jaye ga 

Yeh ashk hai to phailnay se rok lo issay 
Gar abar hai to raah se yeh hatt hi jaye ga 

Us zar pe aadmi ki nahin dastaras koi 
Aaye ga paas saamp to yeh batt hi jaye ga 

Aab-e-rawan hi rehta hai shafaaf aur paak 
Daman wagarna gard se yeh att hi jaye ga 

Ae "Saad" aqal aaye gi jab darmiyan zaroor 
Aankhon ka dil se raabta phir ghatt hi jaye ga 

Ae "Saad" dil ki baat pe tasdeeq kis liye 
Pagal ka kya hai raastay main dutt hi jaye ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...