Mar 17, 2016

Kya karon aik hi halat main sada rehta hoon


Kya karon aik hi halat main sada rehta hoon 
Misal-e-gul main bhi to kaanton main phansa rehta hoon 

Meray andar abhi mousam hai teri yaadon ka 
Zard rutt main bhi jo phoolon se lada rehta hoon 

Khush gumani nahin koi mujhay ab yaaron se 
Bad'gumani ki aziyat se bacha rehta hoon 

Dekh kaisay mujhay nafrat se sabhi dekhtay hain 
Main mohabbat main nishana sa bana rehta hoon 

Jor rakhta hoon main nata teri her yaad kay saath 
Reh kay masroof main duniya se kata rehta hoon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...