Mar 25, 2016

Mujhay is zindgani se koi shikwa nahin lakin zara si be'sakooni hai


Zara si be'sakooni hai 

Mujhay is zindgani se koi shikwa nahin lakin 
Zara si be'sakooni hai 
Na janay kiyon meray dil main 
Ajab ik khouf rehta hai 
Mujhay mehsoos hota hai 
Keh meray dil kay darwaze pe 
Teri yaad ki dastak main woh shiddat nahin baqi 
Bhout si khaas baatein hain 
Jo mujh ko aam lagti hain 
Meray dil main inhein sun kar koi toofan nahin uthta 
Teri aankhein , tera chehra 
Teri awaaz ki rim jhim 
Sabhi kuch khawab lagta hai 

Mujhay mehsoos hoat hai 
Sunehri titliyon jaisay 
Woh sab khush rang se sapnay 
Meray lafzon kay phoolon par 
Bhout din se nahin baithay 

Mujhay mehsoos hota hai 
Samay ki tez lehron ne 
Hamaray rait kay kacchay gharonday tor dalay hain 
Mujhay in tez lehron se
Sunehri titliyon jaisay 
Sabhi khush rang sapno se
Koi shikwa nahin lakin 
Zara si be'sakooni hai 

Mujhay mehsoos hota hai 
Tumharay dil kay darwaze pe meri yaad ki dastak 
Meri jaan ab nahin hoti 

Meri jaan ab nahin hota 
Keh meri yaad aaye to 
Tumhari aankh bhar aaye 
Duaein maangtay lamhay 

Mujhay tum bhool jati ho
Magar phir bhi mujhay tum se
Koi shikwa nahin lakin 
Ajab si be'sakooni hai 
Ajab ik khouf hai dil main 
Main tum ko bhool jaaon ga 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...