Tehzeeb-e-be'niqaab ki aankhein nikaal do
Is qoam kay shabaab ki aankhein nikaal do
Jis ki sada ne waqat ko be'daar kar diya
Us saahib-e-kitab ki aankhein nikaal do
Ab manzil-e-wafa ki zaroorat nahin rahi
Her azam-e-kamyaab ki aankhein nikaal do
Jis ne sama'aton ko diya dars-e-be'khudi
Us naghma-e-rubaab ki aankhein nikaal do
Jis main na ho baseerat-e-insaan ki chandani
Us sheesha-e-sharab ki aankhein nikaal do
Makh'moor gaiso'on ki ghattaon ka wazan hai
Pur'noor mehtaab ki aankhein nikaal do
"Saghar" nikhar sakay na jahan nikhat-e-khudi
Us qariya-e-gulaab ki aankhein nikaal do
No comments:
Post a Comment