Apr 13, 2016

Ae Ishq mujhay azaad kar do


Ae Ishq mujhay azaad kar do 

Kitni hi 
Zanjeerain 
Dil main 
No'keelay taptay aahan se bhi 
Kahin ziyada chubti hain 
Aur ghutan ki bojhal dewarein to 
Jaisay pusht aur seenay par tameer hui hon 
Ajab ajab se pachtaway 
Aur bila jawaaz pash-e-mani  si 
Sanson aur aankhon main aksar 
Pisi hui mirchon ki sulgan door door tak bhar deti hai 
Be'chaini kay halqay rooh ko 
Sakhti se jakray rakhtay hain 
Aansoo galay ko 
Andar se pakray rakhtay hain 
Hijar ki jailein 
Shaher ki jailon se barh charh kar 
Umar da'boch liya karti hain 
Jo kuch karna ho aakhir main 
Pehlay soch liya karti hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...