Ae tagiyur-e-zamana yeh ajeeb dal'lagi hai
Na waqar-e-dosti hai na majaal-e-dushmani hai
Yahi zulmatein cheeni jo teray surkh aanchalon main
Inhi zulmaton se shayed meray ghar main roshni hai
Meray saath tum bhi chalna , meray saath tum bhi aan a
Zara gham kay raaston main bari tez tairagi hai
Yeh mushaida nahin hai , meray dard ki sada hai
Meray daagh-e-dil luttay hain teri bazm jab saji hai
Gham-e-zindagi ! kahan hai abhi wehshaton se fursat
Teray naaz utha hi lain gay abhi zindagi pari hai
Teray khushk gaisu'on main meri aarzu hai pinhaan
Teray shokh bazu'on main meri daastan rachi hai
Jissay apna yaar kehna ussay chorna bhanwar main
Yeh hadees-e-dil'baran hai , yeh kamal-e-dil'bari hai
Woh guzar gaya hai "Saghar" koi qaafla chaman se
Kahin aag jal rahi hai , kahin raakh so gayi hai
No comments:
Post a Comment