Agarcha hum ja rahya hain mehfil se nala-e-dil'fagar ban kar
Magar yaqeen hai keh loat ayein gay naghma-e-no'bahar ban kar
Yeh kya qayamat hai baagh'bano ! keh jin ki khatar bahar aayi
Wohi shagoofay khatak rahay hain tumhari aankhon main khaar ban kar
Jahan walay hamaray geeton se ja'iza lain gay siskiyon ka
Jahan main phail jayein gay hum bashar bashar ki pukar ban kar
Bahar ki bad'naseeb ratein bula rahi hain chalay bhi aayo
Kisi sitaray ka roop le kar , kisi kay dil ka qaraar ban kar
Zaroorat-e-rah kay mutabiq musafaron ne bhi seekh li hai
Woh rah'zani mudaton rahi hai jo rah'baron ka sha'aar ban kar
Talash-e-manzil kay marhalon main yeh hadsa ik ajeeb dekha
Faraib rahon main baith jata hai surat-e-aaitabar ban kar
Gharoor-e-hasti ne maar dala wa'garna hum log jee hi letay
Kisi ki aankh ka noor ho kar , kisi kay dil ka qaraar ban kar
Diyar-e-peer mughaan main aa kar yeh haqeeqat khuli hai "Saghar"
Khuda ki basti kay rehnay walay to loot letay hain yaar ban kar
No comments:
Post a Comment