Ajab si yeh mohabbat hai
Ajab sa rabt hai hum main
Na ik doojay ko dekha hai
Na ik doojay ki awazon main ik doojay ko dhoonda hai
Tumhein jo kuch kaha main ne , ussay tum sach samajhti ho
Mujhay jo kuch kaha tum ne , ussay main sach samajhta hoon
Isi ik
Chat window
main
Hum ik doojay kay jeewan kay her ik mousam main rehtay hain
Ajab sa rabt hai hum main
Ajab si yeh mohabbat hai
Jissay tasveer aur awaz se kuch bhi nahin lena
Jissay khawaish nahin koi
Kisi ko ru-ba-ru dekhein
Kisi awaz ko poojein
Mohabbat ki shabahat ko
Kisi anmol saa'at ko
Kisi kay aks main dhoondein
Ajab si yeh mohabbat hai
Keh jis main lafz kehtay hain aur aankhein kuch nahin kehtein
Yeh lafzon se behalti hai , yeh un main saans leti hai
Yeh un be'jaan tasveeron main kitnay rang bharti hai
Ajab sa rabt hai hum main
Ajab si yeh mohabbat hai
Keh jaisay awaz aur tasveer se kuch bhi nahin lena
Keh jo lafzon ki khushbu se dilon ko gun'gunati hai
Keh jo palkon pe chahat kay hazaron khawab likhti hai
Tumharay aur meray darmiyaan jo saans leti hai
Ajab si woh mohabbat hai
No comments:
Post a Comment