Apni mohabbaton ki khudai diya na kar
Her be'talab kay haath kamai diya na kar
Deti hai jab zara si bhi aahat aziyatein
Aisi khamoshiyon main sunai diya na kar
Pehlay hi haadsaat kay imkaan kam nahin
Youn mujh ko raaston main samjhai diya na kar
Nazrein pathron ko bhi kar jaye paash paash
Saj dhaj kay bastiyon main dikhai diya na kar
In mousamon main panchi palatay nahin sada
Dil ko udasiyon main rihaai diya na kar
Aata nahin badalna jo andaz-e-dushmani
Chehray badal badal kay dikhaai diya na kar
"Farhat" koi to farq ho aam aur khaas main
Her aik aashna ko risaai diya na kar
No comments:
Post a Comment