Apr 30, 2016

Baarish hai aansu'on ki zameen pe jharri hui


Baarish hai aansu'on ki zameen pe jharri hui 
Phir bhi hai dil main dard ki nadi charhi  hui 

Baqi tamam umar bicharnay ki baat thi 
Milnay ki guftagoo to gharri do gharri hui 

Yeh raah to chuni thi judai kay wastay 
Yeh aarzu'-e-wasal kahan aa kharri hui 

Yeh raah ki nahin , yeh muqaddar ki baat hai 
Manzil chunni hai jo wohi manzil karri hui 

Sun to sahi hawa-e-khizan dekh to sahi 
Kya keh rahi hai phool ki pati jharri hui 

So saal bhi to lamha ba'lamha baray huye 
Yeh umar is tarah bhi gharri ki gharri hui 

Ik pal main jo hai doosray pal main nahin hai woh 
Her ik gharri main umar zara si barri hui 

Taray falak pe aankh main aansu wisal kay 
Yeh raat motiyon se hai sari jarri hui  

Is kay liye to raah-e-wafa chahiye Adeem 
Her raah main nahin hai mohabbat parri hui 

Kis ki majaal arz-o-sama ko hila sakay 
Jo cheez jis jaga thi wahin hai parri hui 

Zouq-e-sukhan yeh naaz youn hi to nahin Adeem 
Hum ne bhi Meer zaa ki ghazal hai parhi hui 

Nazrein parein zara si teri kainaat par 
Dekhi , bina baghair imaarat kharri hui 

Adam hai aik no-e-bashar mukhtalif Adeem 
Sachi hai baat phir bhi lagi hai gharri hui

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...