Apr 10, 2016

Meri sham-e-gham meray paas aa mujhay raas aa


Tanhai

Meri sham-e-gham meri sham-e-gham
Meray paas aa mujhay roz-o-shab ki faseel par
Meri por por main dard ban kay utar gaya
Jo kahin kahin pe paraao tha mera ab ashk ki jheel par
Teray jaisay hi kisi khair khawah se kam na tha
Kabhi raakh tha kisi murda dil se wisaal ki
To kabhi alaao tha be'qaraar hijar ka
Kisi shaher sabar ki saij par
Jo sakoot tha mera umar bhar
Kisi bain se kisi sard aah se kam na tha
Kabhi khaar dekhay hain tum ne neend kay bistaron par uggay huye
Meri aarzu thi to aarzu
Mera khawab kisi qatal gaah se kam na tha
Meri ungliyan bhi hain resha resha jamood se
Meri khawaishein mera dasht-e-dil
Meri chahatein meri chasham-e-nam , meri chasham-e-nam
Meri saham nam , meri shaam nam
Meray paas aa mujhay raas aa
Main na'janay kaisi aziyaton ki rafaqaton main ulajh gaya
Main ulajh gaya kisi ehad-e-halat-e-zaar se
Kisi pyar se koi sach nikal kay nahin mila
Wohi zard rut , wohi zard rut
Wohi barf si meray hum'qadam
Meri shaam nam , meri sham nam 
Meray paas aa mujhay raas aa

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...