Veerani
Dard ki kaali kothri main
Umar qaid kay saza yafta
Be'qaraar aur ghabraye huye dil ka aalam
Aur dil main qaid
Shakista aur kamlaai hui aarzooein
Aur aarzu'on main band
Thaka haara aur shakist khurda intizar
Aur intizar kay baad
Door door tak khalaa aur khok'la pan
Khalaa aur khamoshi door door tak
Khamoshi aur veerani
No comments:
Post a Comment